AcneStar Gel Review Hindi



Aaj Ka post acne ke bare me hai . Acne jise hum hindi me (मुँहासे)  kahte hai मुँहासे  ko amtor par pimples ( फुँन्सी) bhe kahte hai .
Acne amtor pe oily skin walo ko hota hai jise
 तैलीय ग्रंथि (sebaceous glands) bhi kahte hai

WHO GETS ACNE ?  मुँहासे किसे होते है ?


Sabhi ayu-varg ke logo ko acne ho sakte hai hala ki yaha kishoro tatha yuvavastha ke logo me yaha aam baat hai lagbhag 90 % logo me , yuvavastha (12 -14 Saal) se laekar 30  year tak ke vayaktiyo ko acne ka kuch na kuch anubhav hota hai .

Is liye mankind ne apna new acne star gel lunche Kiya hai .
Vaise is ka oldj pack pahle se he market me hai jispar life star likha hua hai .

Dosto mai aap ko acne gel ke bare me batao us se pahle ye jan na jarori hai ki acne star kya hai ?



ACNE STAR KYA HAI  ?


Acne star ek gel hai jo mild se moderate Acne (मुँहासे) Par lagane ke liye hai .
Isme antibiotic , clindamycin & nicotinamide hai aur saath he aloe & allantoin ke fayde bhi hai .

Dosto acne star gel जीवाणु (virus) ki vrudhi ko rook Kar acne (pimples) ko samapt karne me madad karta hai ye acne se hone wale jalan aur sojan ko bhe kam karta hai .
Dosto is gel ki sabse achi baat ye hai ki ye non sticky gel hai ise skin par lagane par chip - chipa bilkul nahi lagta . Ise lagane par ye gel glu (गम ,गोन्द) jaisa lagta hai .

Ye gel bahut jaldi skin par sama jata hai aur lagta he nahi ki humne koi gel lagaya hai .


Dosto ab age badhte hai acne star ke bare me jante hai .



DETAILS

Dosto acne star gel ko mankind pharma ltd ne lunch kiya hai . Jaisa ki aap ko pata he hoga ki mankind pharma india ki jani mani companeyo me se ek hai . 
Is ke bahut se cream , lotion , gel , tablets etc . Market me hai jise adhiktar doctors recommendet karte hai .

Acne star gel white & sky blue Color ki corten box me aati hai is ke saat ye gel plastic tube me aati hai .

Ye gel transprant (पानी) jaisa dikhta hai .

Acne star gel ke 15 gm tube ka price 70 rs hai .

Is gel ki self life 24 month ki hoti hai .

Is gel ko open karne par is ke upar silver color ka seal packing rahta hai jis se iske lickage hone ka koi chance he nahi hai .

NOTE

Acne gel kharid ne par dekh le uspar silver color ka seal hona jarrori hai .

Dosto acne gel aap ko aap ke najdiki medical store me badi he asani se mil jayega .

COMPOSITIONS

Clindamycin phosphate ip 1.0 %

Equivalent to clindmycin 4 .0 % w/w

Nicotinamide ip

Gel base q.s


ACNE STAR GEL KO KAISE USE KARE ?

Dosto waise toh acne star gel ko din me 2 baar use karna cahiye .
Mai aap ko khunga ki aap ise raat me sone se pahle face ko dho kar use kare ye acha work karta hai . Ye gel skin par jaldi sama jata hai .


ACNE STAR GEL KI ACHI BAAT

● Acne star gel ki packing achi hai . Is me silver color ka ek seal laga hai jis se is ke lickage hone ki samasya nahi hoti .

● Acne star gel non sticky hai .

● Face par jaldi sama jati hai .

● Acne ki jalan ko bahut jaldi kam kar deta hai .

● Is ka price kam hai .

● Use karne me asan hai .

● Is ke koi side effect nahi hai .


ACNE STAR GEL KI KHARAB BAAT


● Ye scars me help nahi karta .

● Ye gel bahut mild  hai ise ungli par rakhne par ye mild ho kar niche gir jata hai .

● Ise aakho ke aas pass aur muh (mouth) ke aas pass use na kare .




AAP KE LIYE YE PRODUCT KAISA RAHEGA

Dosto aap ne acne star ke ads tv par jarror dekhe honge iski brand ambesar shruti hassan hai .
Dosto humare bahut se reader & youtube  viewers hai jo hum se hamesha puch te hai ki sir mere face par bahut pimples hai mai kya karo ?

Mai un sabhi viewers & readers ko aaj is post ke jariye batana cahte hu ki aap acne star gel use kare .

Kyo ki is me aisa kuch bhi use nahi kiya hai jo hamari skin ko nukshan kare ye ek safe product hai .

Hum ne khud ise 1 month tak try karne ke baad ye review aap ke liye kiya hai .
Dosto jab humne ise try kiya toh sirf 3 hours me he acne ki jalan se chotkara milgaya .
But iske best rezult ke liye aap ko is ke 15 gm. Ke tube ko khali karna hoga .

Mere jis reader ko acne (pimples) ke problem hai mai un sabhi dosto ko acne gel use karne ki salha dunga .

Dosto aap ko hamara ye review kaisa laga hume jarror bataye .
Agar aap ne bhi acne gel use kiya hai toh aap apni rai niche likh sakte hai .
Is se dusro ki help ho sake .



टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें